Identity (pahchan)
Hamari khud ki identity kya hai? Kya hum jante hai?
Aj kal kuch log apni khud ki identity badal dete hai. Kabhi kabhi logo kai samne acche dikhe isliye jho hai waise log nahi rahete. Ek mukvate kai Saath apna jeevan jeete hai. Ager kisi ka skin colour dark hai tho kaise acche dikhe isliye market kai bhoat sare product use karte hai. Ager highly educated nahi hai tho logo kai samne sharminda na ho isliye kuch log jhute kahete hai. Aise bohat sari baate hai ise jeevan mai.
Per aisa kyu hota hai? Shayad samaj hame accept nahi karega. Yah hame samaj mai kuch respect nahi milega. Yah koi hame jyada pasand nahi karega . Yah hum famous nahi banege isliye jho real identity hai ushe log chupane lagte hai.
Per jho ise duniya ka banane wala hai usnai sabko alag - alag pahchan di hai. aur jaruri nahi hai ki sab jan ek jaise lage.
Aur sab ek jaise hote tho yah kitna bore hota na. Dusari ki identity acchi lag rahi hai isliye khud ki identity ko khatma karna yeh baat tho sahi nahi hai. Hum jaise hai waise he hamara parmeshwar hamsai prem karta hai aur hame swikarta hai. Usmai hamari sacchi identity hai.
Aur parmeshwar chata hai jho identify usnai hame di hai ushe kai saath rahe. Kyuki sansar tho bhari rup dekhta hai per hamara parmeshwar rudhay ko dekhta hai. Aur usnai hame jaisa banaya hai bhoat badiya , accha banaya hai.
Comments
Post a Comment